اتوار، 29 اپریل، 2018

Shab e Barat Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments

Shab e Barat Ka Wazifa


Hum aap ko shab e barat ki raat 3 dafa Surah Yaseen parhne ke fawaid batayengay aur is ki ijazat aam ha. Yani agar aap shab e barat ki raat 3 dafa Surah Yaseen parhengay to aap ko konsay konsay fawaid hasil hongay. Ye fawaid jaan lenay ke baad Insha Allah aap Shab e Barat ki raat zaroor Surah Yaseen parhengay. Aur hamara yehi mashwara ha ke Shab e Barat ki raat saal mein 1 dafa aati ha aur anqareeb aanay wali ha to aap Shab e Barat ki raat 3 dafa Surah Yaseen zaroor parhein. Shab e Barat ki raat Namaz e Isha ada karnay ke baad nawafil ada karein kam se kam 2 rakat nawafil zaroor ada karein nawafil ada karne ke baad Surah Yaseen ki 3 dafa tilawat karein. Lekin agar kisi ki Namazein Qaza ho to wo nawafil ke bajaye Qaza Namazein ada karein kiyounke jis ke zimmay Farz Namazein qaza ho us ki nawafil qabool nahi hoti. 3 dafa Surah Yaseen parhne ke baad Allah Pak se Dua karein aur apni jaiz hajatein Allah Pak ke samnay pesh karein.
Shab e Barat ki raat 3 dafa Surah Yaseen parhne ka sab se pehla faida ye hai ke rizq mein barkat hoti ha, maal o asbab barhte hein. Doosra faida daraziye umar ha yani is se umar mein izafa hota ha, umar lambi ho jati ha aur teesra faida ye ha ke insan nagahani aafaton se mehfooz rehta ha balaon se mehfooz rehta ha. Allah Ta'la hamein is par amal karne ki tofeeq ata farmaye. Ameen


from Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Tips https://ift.tt/2r8ndno
via IFTTT

0 comments:

آپ بھی اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔