Islamic Knowledge لیبل والی اشاعتیں دکھا رہا ہے۔ سبھی اشاعتیں دکھائیں
Islamic Knowledge لیبل والی اشاعتیں دکھا رہا ہے۔ سبھی اشاعتیں دکھائیں

بدھ، 16 مئی، 2018

Wazifa For Skin Infection And Skin DiseaseFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Wazifa For Skin Infection And Skin Disease Nazireen aaj jo hum aap ko Wazifa batayengay wo skin infection aur skin disease ke liye ha. Nazireen agar aap skin disease ka shikar hein ya skin infection se mutasir hein ya chehre ya badan par koi daagh dhabba ho to Surah Baqarah ki Ayat e Mubaraka 71 ka ye hissa jo hum ne screen par highlight kar di ha is ko 41 martaba medicine ya marham jo aap ko Doctor ya Hakeen ne tajweez ki ha us par dam karein phir us ko use karein. Jab bhi aap medicine ya...

پیر، 14 مئی، 2018

Wazifa For Face Beauty Fair Skin And Remove Pimples On FaceFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Wazifa For Face Beauty Fair Skin And Remove Pimples On Face Agar aap ke chehre par danay hein ya aap chehre ke daagh dhabbo se pareshan hein to mein aap ko 1 nuskha aur 1 Wazifa bataoonga jis ke karne se Insha Allah aap ko chehre ke danay aur daagh dhabbo se nijat mil jaye gi. Nazireen chawal har ghar mein mojood hote hein aur har mulk mein hi chawal khaye jatay hein, ye bhi masla nhi hoga ke aap chawal khareednay jayen aur ye cheez mushkil se milay. Khanay ke 3 spoon sirf rice lenay hein aur...

اتوار، 13 مئی، 2018

Quran Girne Ka KaffaraFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Quran Girne Ka Kaffara Quran Pak agar ghalti se gir jaye to is ka koi kaffara nahi ha is liye ke girane wale ki koi niyat be hurmati ki nahi thi Allah ke kitab ki choot gai gir gai ghalti se aur kisi Musalman se ye tasawur nahi kiya ja sakta ke wo Quran Pak ko khud se giraye. Lekin baaz jaga par Quran Pak ki izzat, adab o ahteram ki waja se jab Quran Pak gir jata ha to Musalman pareshan ho jata ha to ye bhi us ke Iman ki alamat ha, Quran se mohabbat ki alamat ha, to is aetibar se fikarmand...

ہفتہ، 12 مئی، 2018

Surah Muzammil Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Surah Muzammil Ka Wazifa Aaj jo Wazifa mein aap ko bataoonga Wo Surah Muzammil ka Wazifa ha aur is ki ijazat aam ha yani is ke liye aap ko kisi se ijazat lenay ki zaroorat nahi. Surah Muzammil bari ba barkat Surat ha kiyounke ise Huzoor Pak PBUH se khusoosi munasibat ha. Hazrat Abi Bin Kaab Razi Allah Tala Anhu se riwayat ha ke Huzoor e Aqdas PBUH ne farmaya ke jo shakhs Surah Muzammil parhe ga to Allah usay dunya aur akhirat mein khush rakhe ga. us ke aflas ko door karde ga aur mushkilat asan...

جمعہ، 11 مئی، 2018

Bismillah Ir Rahman Ir Rahim Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Bismillah Ir Rahman Ir Rahim Ka Wazifa bismillah ir rahman ir rahim ki fazilat Aaj jo Wazifa hum aap ko batayengay wo Bismillah Ir Rahman Nir Rahim ka Wazifa ha aap is ko har jaiz maqsad ke liye kar sakte hein, is Wazifa ki ijazat aam ha yani aap ko kisi se ijazat lenay ki zaroorat nahi, koshish karein ke Wazifa ke liye koi 1 waqt muqarrar kar lein aur daily usi waqt Wazifa karein Lekin agar kisi majburi ke waja se 1 hi waqt pr na kar sakein to kisi aur waqt mein bhi kar sakte hein lekin agr...

جمعرات، 10 مئی، 2018

Ya Allahu Ya Rahmanu Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Ya Allahu Ya Rahmanu Ka Wazifa Aaj hum aap ko aesa Wazifa batayengay jo zindagi ke har maqam par bohat kaam aaye ga. 1 chota sa amal ha jis se har jaiz hajat poori hogi. In namon ke andar bohat taqat aur bohat barkat ha. Aap PBUH ne farmaya jab tak La Ilaha Illallah kehne wala 1 admi bhi agar mojood hoga to ye nizame kainat mojood rahega. Ya Allahu Ya Rahmanu ye 2 mubarak naam itni azmat walay hein itni barkat walay hein ke agar aap raat ko sonay se pehlay in namon ko parh lein Yani Ya Allahu...

Surah Kosar Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Surah Kosar Ka Wazifa surah kausar ka wazifa Nazireen 1 aesi muqaddas Kitab jo hamari akhirat mein nijat ka bai's ha, jo dunyawi muamlat mein hamari rehnuma ha jis ka har 1 lafz rooh ko pur sukoon krta ha jo dilo ke itminan ka bai's ha, ye kitab hamein achai aur burai ki tameez batati ha, naiki aur badi mein farq sikhati ha, jis par amal kar ke hum Allah ke pasandeeda bando mein shamil ho sakte hein, jo hamari deen aur dunya dono mein kamyabi ki zamin ha aur is mein hamaray liye hidayat hi...

پیر، 7 مئی، 2018

Raat Ko Sonay Se Pehlay Ayat Al Kursi Parhne Ki Fazilat FOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Raat Ko Sonay Se Pehlay Ayat Al Kursi Parhne Ki Fazilat  Nazireen raat ko sonay se pehlay Ayat Al Kursi parh kar sonay ki bari fazilat Hadees mein aai ha. Allah ke piyaray Nabi PBUH ne farmaya ye bukhari ki riwayat ha A logon jo shakhs sonay se pehlay Ayat Al Kursi parh kar sota ha Allah Ta'la ki taraf se 1 Farishta us shakhs ki hifazat ke liye muqarrar kar diya jata ha jo subah Fajar tak us shakhs ki hifazat karta ha, shaitan ko us shakhs ke qareeb bhi nahi aane deta. Nazireen agar raat...

اتوار، 6 مئی، 2018

70,000 Farishton Ki DuaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
70,000 Farishton Ki Dua Agar koi naik shakhs hamaray liye Dua kare to hum kine khush hote hein, logon ko batate hein ke falan Aalim ne falan buzrug ne meray liye Dua ki ha. Lekin us shakhs ki khush naseebi ka kiya kehna jis ke liye Allah ke Farishtay Dua karein. 1 Hadees jo Sahi Muslim aur Musnade Ahmad ki ha, Meray piyaray Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs kisi mareez ki ayadat ke liye jata ha subah se lekar sham tak 70000 Allah ke Farishtay us shakhs ke liye Dua e maghfirat...

ہفتہ، 5 مئی، 2018

Tamam Masail Aur Fitna Se Bachne Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Tamam Masail Aur Fitna Se Bachne Ka Wazifa Aaj hum aap ko fikro mushkilat se azadi ke kuch Wazaif batayengay, is dunya mein koi bhi aesa shakhs nahi jo kisi na kisi mushkilat ya fikar mein na ghira huwa ho chahe wo koi crore pati ya arab pati hi kiyoun na ho. Kisi ko apnay bacho ki shadi ki fikar, kisi ko business mein nuqsan ka dar, Koi Muashi badhali ka shikar ha, Kisi ko raat ko neend nahi aati, koi beemarion mein ghira huwa ha nez har koi apni apni fikar o mushkilat mein ghira huwa ha. Hazrat...

جمعرات، 3 مئی، 2018

Jannat Mein Le Jane Wali DuaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Jannat Mein Le Jane Wali Dua Hamaray Piyaray Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne jo hamein piyari piyari Duaen mangni sikhai hein un mein se 1 dua ye bhi sikhai ha ke hamein chahiye ke hum rozana 3 martaba Allah se Jannat ka sawal karein, farmaya logon jo shakhs rozana 3 baar kehta ha A Allah mujhay jannat ata farma day A Allah mujhay Jannat ata farma day to nazireen us ke 3 martaba sawal karne par phir Allah ki Jannat kehti ha A Allah is shakhs ka thikana Jannat bana day Subhan Allah. Aur jo...

اتوار، 29 اپریل، 2018

Surah Ikhlas Ka Wazifa In UrduFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Surah Ikhlas Ka Wazifa In Urdu surah ikhlas ka wazifa Quran Pak ki 1 Surat Surah Ikhlas ha is Surat ki fazilat ka kiya kehna ye wo Surat ha jis ke baray mein piyaray Nabi PBUH ne farmaya A logo jo 3 baar Surah Ikhlas parh leta ha is ke parhne ki barkat se pooray Quran Pak parhne ka ajar us ke namae aemaal mein likh diya jata ha, phir 1 aur riwayat mein Nabi Kareem PBUH ne is ki barkatein batate huway farmaya A logo jo 10 baar Surah Ikhlas parh leta ha is parhne ki barkat se us ke naam ka mehal...

Ya Rehman Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Ya Rehman Ka Wazifa ya rahman ka wazifa Allah ki rehmaton ko hasil karne ke liye Duaon ko qabool karane ke liye bara asan bara behtareen lafz Ya Rahmanu is lafz ko apni Duaon mein zaroor parha karien aur Duaon ke ilawa bhi zaroor parha karein. Jo shakhs apni Duaon mein Allah Ta'la ke is naam ko parhta ha, is naam ke parhne se Allah Ta'la ki rehmat ko josh aata ha ye bara behtareen aur bara asan Wazifa ha aur Allah Ta'la ko ye naam kitna pasand ha, Apnay kalam Quran mein 1 Surat ka naam hi Surah...

Shab e Barat Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments
Shab e Barat Ka Wazifa Hum aap ko shab e barat ki raat 3 dafa Surah Yaseen parhne ke fawaid batayengay aur is ki ijazat aam ha. Yani agar aap shab e barat ki raat 3 dafa Surah Yaseen parhengay to aap ko konsay konsay fawaid hasil hongay. Ye fawaid jaan lenay ke baad Insha Allah aap Shab e Barat ki raat zaroor Surah Yaseen parhengay. Aur hamara yehi mashwara ha ke Shab e Barat ki raat saal mein 1 dafa aati ha aur anqareeb aanay wali ha to aap Shab e Barat ki raat 3 dafa Surah Yaseen zaroor parhein....