اتوار، 6 مئی، 2018

70,000 Farishton Ki DuaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments

70,000 Farishton Ki Dua


Agar koi naik shakhs hamaray liye Dua kare to hum kine khush hote hein, logon ko batate hein ke falan Aalim ne falan buzrug ne meray liye Dua ki ha. Lekin us shakhs ki khush naseebi ka kiya kehna jis ke liye Allah ke Farishtay Dua karein.
1 Hadees jo Sahi Muslim aur Musnade Ahmad ki ha, Meray piyaray Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs kisi mareez ki ayadat ke liye jata ha subah se lekar sham tak 70000 Allah ke Farishtay us shakhs ke liye Dua e maghfirat karte rehte hein aur agar koi raat ko kisi mareez ki ayadat ke liye jata ha to raat se lekar subah tak Allah ke 70000 Farishtay us shakhs ke liye Dua e maghfirat karte rehte hein. Wo dua karte hein A Allah is shakhs ki maghfirat farma day is shakhs ki bakhshish farma day. Nazireen ye kitni khush naseebi ki baat ha k Allah ke hazaron Farishtay hamaray liye Dua karein. Nazireen aap jis mareez ki ayadat ke liye ja rahay hein agar us ki maali halat sahi na ho to us ki aap maali madad kar dein ya dawai waghera use dila dein Insha Allah is ka aap ko bohat acha ajar milega. Jab bhi mareez ki ayadat ke liye jayen to waqt dekh kar jayen aur mareez ke liye koi na koi hadya lekar jayen aur us mareez ke paas beth kar us ke lye Dua karein aur us se kahein ke wo aap ke liye bhi Dua kare aur mareez ko tasalli dein.
Nazireen agar aap mareez ki ayadat karne us ke ghar jayen to apni nazron ki hifazat karein.
Nazireen agar koi shakhs aap ke ird gird beemar ha to Allah ki raza ke liye zaroor us ki ayadat ke liye jayen is amal se 70000 Farishtay aap ke liye Duaon men lag jayengay.


from Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Tips https://ift.tt/2IkbRai
via IFTTT

0 comments:

آپ بھی اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔