جمعہ، 11 مئی، 2018

Bismillah Ir Rahman Ir Rahim Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments

Bismillah Ir Rahman Ir Rahim Ka Wazifa


Aaj jo Wazifa hum aap ko batayengay wo Bismillah Ir Rahman Nir Rahim ka Wazifa ha aap is ko har jaiz maqsad ke liye kar sakte hein, is Wazifa ki ijazat aam ha yani aap ko kisi se ijazat lenay ki zaroorat nahi, koshish karein ke Wazifa ke liye koi 1 waqt muqarrar kar lein aur daily usi waqt Wazifa karein Lekin agar kisi majburi ke waja se 1 hi waqt pr na kar sakein to kisi aur waqt mein bhi kar sakte hein lekin agr 1 hi waqt par roz karengay to bohat behtar hoga. Jo bhi ye Wazifa karega koi bhi dushman us ko nuqsan nahi pohancha sakega aur is Wazifa ke karne walay par kabhi jadu tona waghera asar nahi karega. Is Wazifa ke bohat saray fawaid hein aap Wazifa karengay to aap ko khud is baat ka andaza ho jayega. Nazireen ab mein aap ko batata hoo ke Wazifa kis tarah karna ha, aap ne 11 baar Duroodh Shareef parhna ha Durood Shareef aap koi sa bhi parh sakte hein us ke baad aap ne 1000 martaba Bismillah Ir Rahman Nir Rahim parhna ha us ke baad doobara 11 baar Durood Shareef parhna ha. Is ke baad aap apni hajat aur maqsad ke liye dua karein, is Wazifa ki barkat se aap ki sari Duaen agar aap ke haq mein behtar hongi to dair ya jald zaroor qabool ho jayengi aur jo aap ka maqsad hoga wo Insha Allah poora ho jayega. Aap is Wazifa ko daily karein jab tak aap ka maqsad poora na ho jaye. Yani ta husool e maqsad aap ko ye Wazifa karna ha. Namaz ki pabandi lazmi karein takay aap ke har kaam mein barkat ho aur Wazifa bhi asar kare aur hasbe tofeeq sadqa bhi karte rahein. Allah Ta'la se dua ha ke jo bhi ye Wazifa kare Allah Ta'la un ki har jaiz hajat aur murad ko poori kare. Aameen


from Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Tips https://ift.tt/2KdRhG4
via IFTTT

0 comments:

آپ بھی اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔