پیر، 7 مئی، 2018

Raat Ko Sonay Se Pehlay Ayat Al Kursi Parhne Ki Fazilat FOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments

Raat Ko Sonay Se Pehlay Ayat Al Kursi Parhne Ki Fazilat 


Nazireen raat ko sonay se pehlay Ayat Al Kursi parh kar sonay ki bari fazilat Hadees mein aai ha. Allah ke piyaray Nabi PBUH ne farmaya ye bukhari ki riwayat ha A logon jo shakhs sonay se pehlay Ayat Al Kursi parh kar sota ha Allah Ta'la ki taraf se 1 Farishta us shakhs ki hifazat ke liye muqarrar kar diya jata ha jo subah Fajar tak us shakhs ki hifazat karta ha, shaitan ko us shakhs ke qareeb bhi nahi aane deta. Nazireen agar raat ko aap ko dar lagta ha ya buray khuwab aate hein ya aap ko jadu taweez in cheezon ka shak ha to aap Ayat Al Kursi parh kar befikar hokar so jayen kiyounke ab Allah ka 1 Farishta aap ke liye muqarrar ha jo in tamam cheezon se aap ki hifazat karega. Nazireen agar aap raat ko sonay se pehlay mobile tv in cheezon mein khokar hi so jayengay Allah ka zikar na karengay to phir aap khud hi batayen ke zindagi mein sukoon aaye ga ya pareshani aaye gi. Aap raat ko sonay se pehlay Quran ki ye Ayat Ayat Al Kursi parh kar soyen phir aap dekhengay aap ke dil ko bhi itminan aaye ga aap ki rooh ko bhi sukoon aaye ga aur aap ke ghar mein barkatein aur rahatein aayengi. Is liye nazireen raat ko sotay waqt Ayat Al Kursi zaroor parh liya karein ise parhne mein mushkil se 1 minute bhi nahi lagega lekin poori raat aap hifazat mein rahengay.
Nazireen is ke ilawa bhi Ayat Al Kursi ki bohat fazilat ha jo hum aap ko batate hein.
Jab ghar mein dakhil hote waqt parhengay to aap ke ghar se mohtaji door ho jaye gi.
Jab Wuzu ke baad parhengay to 70 darjay buland hongay.
Aur agar farz Namaz ke baad parhengay to aap ka 1 paon zameen aur doosra jannat mein hoga.


from Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Tips https://ift.tt/2KHl8aX
via IFTTT

0 comments:

آپ بھی اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔