جمعرات، 10 مئی، 2018

Surah Kosar Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments

Surah Kosar Ka Wazifa


Nazireen 1 aesi muqaddas Kitab jo hamari akhirat mein nijat ka bai's ha, jo dunyawi muamlat mein hamari rehnuma ha jis ka har 1 lafz rooh ko pur sukoon krta ha jo dilo ke itminan ka bai's ha, ye kitab hamein achai aur burai ki tameez batati ha, naiki aur badi mein farq sikhati ha, jis par amal kar ke hum Allah ke pasandeeda bando mein shamil ho sakte hein, jo hamari deen aur dunya dono mein kamyabi ki zamin ha aur is mein hamaray liye hidayat hi hidayat ha aur wo Kitab ha Quran Majeed Furqan Hameed.
Quran Pak ke Har Surat ki alag alag fazail aur fawaid hein. Aur agar hum in Surah mubaraka ka wird karengay to na sirf hamari akhirat sanware gi balke dunya mein bhi bohat kuch milega.
Nazireen is video mein hum aap ko Surah Kausar parhne ke fawaid batayengay. Agar aap Surah Kausar rozana sirf 1 baar parhengay to aap ko beshumar fawaid aur fazail milengay.
Surah Kausar Quran Pak ki azeem Surah ha is ko Quran Pak ki mukhtasar tareen Surah honay ka aezaz hasil ha lekin fawaid aur barkaat ke lihaaz se ye bohat bhari Surah ha ye choti si Surah intahai kaseer faidon ki hamil ha.
Agar aap apnay maal o dolat mein izafa chahte hein to apnay roz mara ke ikhrajat ke jo paisay aap ke paas hote hein 1 kapray ki choti se potli bana lein aur wo paisay is mein rakha karein rozana 1 baar wuzu kar ke Surah Kausar parh kar is potli par dam karein is ke ilawa paisay rakhte ya nikalte waqt Surah Kausar parh liya karein aap ke paiso mein barkat hogi maal o dolat kabhi khatam na hoga Insha Allah.
Namaz ki pabandi lazmi karein takay aap ke har kaam mein barkat ho aur Wazifa bhi asar kare aur hasbe tofeeq sadqa bhi karte rahein.


from Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Tips https://ift.tt/2IqYcOS
via IFTTT

0 comments:

آپ بھی اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔