Surah Ikhlas Ka Wazifa In Urdu
Quran Pak ki 1 Surat Surah Ikhlas ha is Surat ki fazilat ka kiya kehna ye wo Surat ha jis ke baray mein piyaray Nabi PBUH ne farmaya A logo jo 3 baar Surah Ikhlas parh leta ha is ke parhne ki barkat se pooray Quran Pak parhne ka ajar us ke namae aemaal mein likh diya jata ha, phir 1 aur riwayat mein Nabi Kareem PBUH ne is ki barkatein batate huway farmaya A logo jo 10 baar Surah Ikhlas parh leta ha is parhne ki barkat se us ke naam ka mehal Jannat mein bana diya jata ha, nazireen is Surat mein aur is ke lafzon mein bara asar ha jo banda rozana 100 baar is Surat ko parhega Allah Ta'la parhne walay ko Ghani kardengay, usay dheron shan o shoukat se nawazengay is Surat ko parhne ki waja se us ke ghar mein barkatein aayengi, khushyan aayengi us ke ghar mein sukoon aaye ga, aapas mein mohabbatein barhengi, jo rozana kasrat se Surah Ikhlas parhega us ka paisa beemarion pr nahi lagega.
Nazireen jis ghar mein Surah Ikhlas kasrat se parhi jayegi wahan Allah ki rehmatein nazil hongi wahan rahatein aayengi kiyounke ye Surat Allah Ta'la ko bohat pasand ha, to nazireen gharon mein sukoon ke liye, maal o dolat mein izafay ke liye, Jannat mein mehal bananay ke liye, apnay namae aemaal ko naikiyon se bharne ke liye is Surah ke sath dosti lagayen is ko parhein aur dunya o akhirat ke khazano ke malik ban jayen, jo is Surah ko kasrat se parhta rahega wo apnay dil mein aur apnay ghar mein wazeh sukoon Insha Allah mehsoos karega. Allah Ta'la se Dua ha ke Allah Ta'la hamein is par amal karne ki tofeeq ata farmaye.
from Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Tips https://ift.tt/2rbL3ia
via IFTTT
0 comments:
آپ بھی اپنا تبصرہ تحریر کریں
اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔