اتوار، 29 اپریل، 2018

Ya Rehman Ka WazifaFOCUS NEWS NETWORK(Speacial correspondent ZIA MUGHAL)

0 comments

Ya Rehman Ka Wazifa

ya rahman ka wazifa

Allah ki rehmaton ko hasil karne ke liye Duaon ko qabool karane ke liye bara asan bara behtareen lafz Ya Rahmanu is lafz ko apni Duaon mein zaroor parha karien aur Duaon ke ilawa bhi zaroor parha karein. Jo shakhs apni Duaon mein Allah Ta'la ke is naam ko parhta ha, is naam ke parhne se Allah Ta'la ki rehmat ko josh aata ha ye bara behtareen aur bara asan Wazifa ha aur Allah Ta'la ko ye naam kitna pasand ha, Apnay kalam Quran mein 1 Surat ka naam hi Surah Rahman rakh diya, Allah Ta'la ko ye naam kitna pasand ha Quran shru hone se pehle parha jata ha Bismillah Ir Rahman Ir Rahim shru Allah ke naam se jo bara Rahman aur bara Raheem ha phir Surah Fatiha Quran ki pehli Surat ha aur us Surat mein Allah Ta'la ne jo apni pehli Sift batai Alhamdulillahi Rabbil Alamin Ar Rahman ir Raheem wo Rab jo bara Rahman bara Raheem ha, Allah Ta'la ko ye naam bohat pasand ha aur is naam se jo banda Dua mangta ha Allah Ta'la us ki Dua zaroor qabool farmata ha. Nazireen is ka 1 bara behtareen Wazifa ha ghamon aur pareshanio ko door karnay ke lye.
Jo shakhs Asar ki Namaz ke baad sirf 7 baar Ya Rahmanu parh le to usay sab se pehla faida ye hoga ke usay Allah Ta'la ki mohabbat milegi, doosra faida ye hoga is naam ke parhne se har har kisam ke jadu, bandish, rishton ki bandish, karobar ki bandish se mehfooz rahega, teesra faida ye hoga Allah Ta'la usay aulad ata farmayega, aulad e narina ke liye bhi is Wazifa ko parha ja sakta ha. Ye kai logon ko azmaya huwa Wazifa ha is naam ke parhne se Allah ki Rahmatein milti hein barkatein milti hein, is naam ke parhne se dil saaf hota ha, is naam ke parhne se gunah maaf hote hein, is naam ke parhne se sukoon milta ha. Nazireen koshish karein agar ho sake to har Namaz ke baad parh lein nahi to Asar ki Namaz ke baad 7 baar Ya Rahmanu lazmi parhein, Insha Allah is naam ki barkat se Allah Ta'la dunya o akhirat ki bhalayan aap ko ata farmayengay.


from Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Tips https://ift.tt/2HDpoKz
via IFTTT

0 comments:

آپ بھی اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔